Kharboze k in Faido Sey Aap Nawaqif Hain

Kharboze Kay in Faido Sey Aap Nawaqif Hain
Garmiyan apnay saath kai tarha kay mazedar hi nahi sehat bakhsh phal lati hain. in mein aik kharbooza bhi hai. bazahir mamooli nazar ane wala ye phal sehat kay khazanay kiye hoe hai.

Is mein mo jood collagen aap ki skin ko jawan rakhta hai, aur qabal az waqt jhuriyon kay amal ko rokta hai.

Is mein beta-carotene ki wafir miqdar pai jati hai, jo aankhon ki sehat kay liye be had zarori hai. saath hi is mein vitamin A bhi mojood hota hai, jo aankho ko mukhtalif bimariyon sey bachata hai.

Kharboozay mein Carotenoid nami aik pigmint paya jata hai jo aap ko kai tarha kay cancer sey bachata hai.

Is mein mojood adenosine na sirf aap ko cancer sey bachata hai balke dil ki hifazat ka bhi zamin hai.

Ye pani aur fiber ka majmoa hai jo aap kay nizame hazma ko behter rakta hai, ager aap koi digestion problem hai to ye use behter karne mein madadgar sabit hoga.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post