Daagh Dhobon k Liye Totkey




Kapron se dagh dhabe door karne ke liye Totka

Kapron se dagh dhabe door karne ke liye baking soda aur pani ke mixture se motasira jagah ko achi tarah dhoen.



Hathon K Daag Dhabbe Door Karne k Liye Totkay

Sabzion aur phalon k nishan hathon se mitane k liye ublay howe aaloo ka tukra (piece) hathon per malain aur dho lain.



Paint Ke Dag Dhabby Door Karne k Liye

Garm sirka (Vineger) khirki darwazon se paint k dhag dhabay door karne ke liye aik azmooda totka hai. Paint ko mitne k liye sirke ko neem garm pani main mix karen aur paint brush se motasira jagah ko saaf kar den.



Kameez aur Shirts Collar K Stain Remove Karne K Liye Totkay

Kameez ya shirt k collar se dhag dhabby door karne k liye hair shampoo se mutasira jagah dho lain – dhaag dhaby door ho jaen gey.



Boots ke Dhag Dhabay Door Karna

Boots k dhag dhabbe dur karne k liye sirka (vineger) aur neemgarm pani se mutasira jagah ko saaf kar lain- vinger ki jagah ubla howa aaloo bhi istemal keya ja sakta hai.



Kapron K Dhaag Dhabbey Door Karne k Liye Totke

Kapron se zung ya chaye etc. k daag dhabbe door karne k liye mutsira jagah ko leemon pani (lemon juice) se dhoo lain aur dhoop main sukha lain.



Chotey Bachon aur Palto Janwaron K Daag Dhabe

Chotey bachon aur pets (palto janwaron) k gand k qaleen (carpet) ya gaddon (mattresses ) se dhag dhabe saaf karne k liye sirke aur pani k mehlool se mutasira jagah dho dalain.



Carpets Se Greese K Stain Remove Karne K Liye Totke

Carpets etc. se greese ke daag dhaby door karne k liye baking soda aik azmooda totka hai. Soda aur pani mix kar k motasira jagah par dal den aur raat bhar k liye chor den. Subah uth kar dho lain ya vaccum cleaner se saaf kar lain.



Jlay Bartan k Daag Dhabon k Liye Totka

Jlay howe bartan (burnt pan) k nishan mitane k liye garam pani main sirka dal kar bartan ko raat bhar k liye rakh den, subah dho lain daagh khatam ho jaen gey.



Furniture Se Kharashain Door Karne K Liye Totka

Furniture pe kharashon ya lakiron k nishan dooor karne k liye akhrot malian.


Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post