Facial Kay Bad Ye Kaam Na Karin


Facial Kay Bad Ye Kaam Na Karin
Regular Facial jahan aap ki jild ko stress sey bachata hai wahi chehray ko fresh look bhi deta hai. lekin kuch kaam aisey hain jo aap ko facial kay bad nahi karnay chahiye warna aap ki jild ko nuqsan pohanch sakta hai.

Black aur white heads na nikalain:

Aksar khawateen facial kay bad Black aur white heads ko nikalnay kay liye skin par zoor deti hain, ye nahi karna chahiye. Is ki bunyadi waja ye hai keh facial kay bad skin buhat hassas ho jati hai is tarha na sirf woh surkh hojaye gi balke is par nishan bhi reh jain gain.

Ziyada makeup sey bachain:

Agar aap ki skin facial kay bad exfoliate ki waja sey surkh ho rhi hai tou makeup na karain. Kyunke us waqt aap ki skin buhat nazuk ho jati hai lehaza makeup mein mujood chemical ki waja sey skin kharab ho sakti hai.

Buhat garam pani chehray par na lgain:

Us waqt skin buhat hassas hoti hai tou garam pani sey naqabile yqeen nuqsan pohanch sakta hai. Is liye thanda pani istemal karain.

Warzish na Karin:

Facial sey pehlay warzish karlain magar bad mein nahi. Is ki waja ye hai ke warzish kartay waqt pasiney sey aap ki skin par jalan aur kharish ho sakti hai aur is par parnay walay nishanat door nahi hongay.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post