Na Qabil E Yaqeen Purisrar Waqiat - ناقابل یقین پراسرار واقعات

Na Qabil E Yaqeen Purisrar Waqiat -

ajeeb-o-ghareeb-waqiat-unexplained-urdu-hindi

Ajeeb O Ghareeb Haqaiq jinka aaj tak kuch pata nahi chal saka

hamari duniya razon se bhari pari hai jin mein se kuch ke baare mein aap jantay hunge lekin aaj jo 4 mysterious hum aap ko bitanay ja rahay hain un ke baare mein bohat kam log hi jantay hain .

pehlay number par hai darakht mein dhansa hwa cycle.




 yeh darakht jis mein aik cycle dhansa hwa hai washington ke vashon island mein hai. is barray se darakht mein 7 foot oopar aik zung laga purana cycle dhansa hwa hai sirf agla aur pichla tyre hi dekha ja sakta hai. dekhnay se aisa lagta hai ke jaisay is darakht ney cycle ko khanay ki koshish ki lekin aadha hi kha saka. koi bhi nahi jaanta ke yeh cycle is darakht ke andar kaisay chali gayi. is cycle ko leker bohat si kahaniyan hain. jin mein ziyada mashhoor yeh hai ke yeh cycle aik larke ki thi jo is darakht ke paas khari kar ke jung ke liye chala gaya aur kabhi wapas nah asaka. aik aur kahani ke mutabiq 1950 mein 1 shakhs apni cycle is darakht ke sath khari kar ke is island ko hamesha ke liye chhorhkr chala gaya .

dosray number par hai 73 sala traffic jaam.




 jee haan yeh traffic jaam 73 saal purani hai. gariyon ki haalat dekh kar aap bakhoobi andaza laga satke hain. screen par nazar anay wali yeh gariyaan 73 saal se isi haalat mein khari hain. 73 saal pehlay yeh karen bilkul nai theen chaltay chaltay achanak sabhi karon ko rukna para aur ruktay ruktay aaj un ki yeh haalat ho gayi hai. un ke maalik kabhi inhen lainay aeye aur yeh jagah karon ka qabrustan ban gayi. yeh pur asraar jagah hai Europe ke shehar belgium mein. yahan par lag bhag 500 karen park ki hui hain jisay dekhnay per aik bara traffic jaam jaissa mehsoos hota hai. aisa lagta hai jaisay un gariyon ko jald baazi mein yahan chorra gaya tha. asal mein yeh gariyaan belgium mein Amrici sipahiyon ki theen jung ki wajah se inhen achanak apni karen chore kar larai mein jana para aur woh apni karen is jungle mein chhupa gaye. lekin jung khatam hone ke baad sipahi apni apni gariyaan America le janey ke akhrajaat bardasht nah kar saknay ki wajah se yahin chore gaye .

teesray number par hum baat karen ge Portugal  mein honay wali angel hair ki barish.



 1959 mein Portugal mein aik dopehar ko achang aasman se reshmi dhagon ki terhan dikhne wali ajeeb si cheez ki barish shuru hogayi is waqay ko angel hyir rain ka naam diya gaya neechay girnay par dekha gaya ke yeh makri ke jaaley jaissa hai. is waqt bohat se logon ney usay alien se joor diya. is ke baad duniya mein kayi aur jagah bhi aisi barish dekhi gayi. jaisay fun land aur canada. heran kin baat yeh hai ke is ajeeb cheez ka koi sample mehfooz nahi kiya ja saka kyunkay sample se pehlay hi yeh cheez bhaap ban kar urr gayi .

chouthay number par hai gum shuda Plane 37 saal baad land kar gaya.



 1955 mein flight 914 ney 57 musafiron ke sath New York se miami ke liye uraan bhari. magar woh jahaz kabhi miami pouncha hi nahi. 37 saal baad 1992 mein isi jahaz ney achanak venezuela airport par land kya. aur control tower ke sath baat bhi ki ayr port ke Radar par kuch nazar nahi aaya magar phir bhi airport ke sabhi staff ney is jahaaz ko dekha. ground staff ke logon ney jahaaz mein sawaar musafiron ko bhi dekha. pilot ki baton se pata chal raha tha ke woh log kaafi ghabraye hue hain shayad woh mustaqbil ki cheezon ko dekh kar choank gaye they. pilot ney poocha ke kahan hain jawab mein control tower ney jawab diya ke yeh 1992 hai aur aap is waqt venezuela airport par hain. yeh sun kar pilot aur bhi ghabra gaya aur kak pitt ki khari khol kar kaha ke hum se daur raho. aur forun dobarah jahaaz ko hwa mein le gaya aur aasman mein hamesha ke liye gayab ho gaya. lekin jatay jatay pilot ke haath se aik 1955 ka calendar gir gaya jo is waqay ke honay ka sab se bara saboot ban gaya. aur sath mein control tower se honay wali baton ki rerecording aur logon ke bayanaat is purisraar waqay ke saboot hain
is waqia ko poora tafseel se prhny aor janny k liye yahan click krein  👇👇

Mystery Of Missing Plane In Urdu Hindi

is post ko apny dosto se bhi share karein
Shukria
mazeed posts parhny ke liye yahan click karein
Previous Post Next Post