Maut Ke Bare Mein - موت کے بارے میں - Herat Angez

Maut Ke Bare Mein Ajeeb O Ghareeb Maloomat - Herat Angez Maloomat Urdu 
maut-ke-bare-mein-ajeeb-o-ghareeb-maloomat
موت کے بارے میں عجیب و غریب باتیں
موت ایک ایسی حقیقت ہے جس سے انکار ممکن نہیں اور قرآن حکیم میں ارشاد باری تعالی ہے "کل نفس ذائقة الموت " کیونکہ واقعی دنیا میں موجود ہر انسان کو اس کا مزہ چکھنا ہے۔اکثر افراد زندگی بھر موت سے بچنے کی کوشش کرتے ہیں لیکن آخر میں وہ بھی اس کے شکنجے سے بچ نہیں پاتے۔

ماہرین کے مطابق مکمل انسانی تاریخ میں اب تک موت کا شکار بننے والے افراد کی تعداد تقریباً 100 کھرب بنتی ہے۔

نیویارک ایسا شہر ہے جس میں قتل کے مقابلے میں خودکشی کے ذریعے موت کو گلے لگانے والے افراد کی تعداد زیادہ ہے۔

جب انسان کی موت واقع ہوتی ہے تو اس کے سننے کی صلاحیت سب سے آخر میں کام کرنا چھوڑتی ہے

سائنس دانوں کے مطابق اگرچہ آپ کا جسم زندہ ہوتا ہے لیکن اس کے باوجود ہر ایک منٹ میں آپ کے جسم میں موجود 35 ملین
 خلیے موت کا شکار بنتے ہیں

انسان پیدا 270 ہڈیوں کے ساتھ ہوتا ہے لیکن اکثر انسان مرتے صرف 206 ہڈیوں کے ساتھ ہی ہیں

 غربت کے باعث روزانہ تقریبا 2 ہزار بچے موت کے منہ میں چلے جاتے ہیں

ہر سال 13 افراد کی موت کی وجہ وینڈنگ مشین بنتی ہیں- وینڈنگ مشین جن سے کھانے پینے کی اشیاء خریدی جاتی ہیں ۔

بھارت میں ایک قبیلہ ایسا بھی آباد ہے جو انسان کی پیدائش پر غم اور موت پر خوشی مناتا ہے

امریکہ میں ہر ایک گھنٹے میں ایک فرد صرف شرابی ڈرائیور کی وجہ سے اپنی جان سے ہاتھ دھو بیٹھتا ہے

دنیا میں ہر 40 سیکنڈ میں کسی بھی جگہ کوئی ایک فرد خودکشی ضرور کرتا ہے

ہر سال 600 امریکی باشندے صرف بیڈ سے گرنے کی وجہ سے موت کا شکار بن جاتے ہی

ہر سال تقریباً 5 لاکھ افراد صرف طبی غلطیوں کی وجہ سے اپنی جان گنوا بیٹھتے ہیں- یعنی غلط ادویات کے استعمال کی وجہ 
سے
ہر 8 میں سے 1 فرد کی موت کی وجہ فضائی آلودگی ہوتی ہے

۔ آپ کو یہ جان کر حیرت ہوگی کہ برطانیہ میں 
"rent a mourner" 
نامی سروس بھی موجود ہے جس کے تحت انسان اپنی آخری رسومات میں شرکت کے لیے کرائے پر جعلی رونے والے دوست حاصل کرسکتا ہے


Mout Ke Bare Mein Ajeeb O Ghareeb Batein

Mout aik aisi haqeeqat hai jis se inkaar mumkin nahi aksar afraad zindagi bhar mout se bachney ki koshish karte hain lekin aakhir mein woh bhi is ke shikanjay se bach nahi paate 



Mahireen ke mutabiq mukammal insani tareekh mein ab taq mout ka shikaar bannay walay afraad ki tadaad taqreeban 100 kharab banti hai 



New York aisa shehar hai jis mein qatal ke muqablay mein khudkushi ke zariye mout ko gilaay laganay walay afraad ki tadaad ziyada hai .



 Jab insaan ki mout waqay hoti hai to is ke sunnay ki salahiyat sab se aakhir mein kaam karna chodthee hai 



Science daano ke mutabiq agarchay aap ka jism zindah hota hai lekin is ke bawajood har aik minute mein aap ke jism mein mojood 35 million khaliye mout ka shikaar bantay hin



Insaan peda 270 hadion ke sath hota hai lekin aksar insaan martay sirf 206 hadion ke sath hi hain



 Ghurbat ke baais rozana taqreeban 2 hazaar bachay mout ke mooo mein chalay jatay hin-



 Har saal 13 afraad ki mout ki wajah vending machine banti hin- vending machine jin se khanay peenay ki ashya khridi jati hain



Bharat mein aik qabeela aisa bhi abad hai jo insaan ki paidaiesh par gham aur mout par khushee manaata hai 



 America mein har aik ghantay mein aik fard sirf sharaabii driver ki wajah se apni jaan se haath dho baithta hai 



 Duniya mein har 40 second mein kisi bhi jagah koi aik fard khudkushi zaroor karta hai 



 Har saal 600 Amrici bashinday sirf bed se girnay ki wajah se mout ka shikaar ban jatay hin



Har saal taqreeban 5 laakh afraad sirf tibbi ghaltion ki wajah se apni jaan ganwaa baithtay hain  yani ghalat adwiyaat ke istemaal ki wajah se



Har 8 mein se 1 fard ki mout ki wajah fazai aloodgi hoti hai 



Aap ko yeh jaan kar herat hogi ke Bartania mein" rent a mourner" nami service bhi mojood hai jis ke tehat insaan apni aakhri rasomaat mein shirkat ke liye karaye par jaali ronay walay dost haasil karsaktha hai 

mazeed maloomat ke liye yahan click karein                                                    
Previous Post Next Post