Karamad Tips

Life Hacks

Karamad Tips
Ham roz kay kamon mein aksar choti choti cheezon kay liye pareshan ho jatay hain keh in sey kesey nimta jae, tou yahan par kuch tips di jarhi hain jo aap ki zindagi ko kisi qadar asaan bana day gi.

Girt paper ko ager roll kar kay rakha jae tou woh khul jata hai is kay liye istemal kiye howe tissue paper kay roll ko gift paper par lapait dain ye nahi khulain gain.

Cake ki cutting kay liye knife ki jaga thread istemal karain. Ye aik behtreen tip hai.

Piyaaz ki cutting kay doran chewing gum chabain aur ansoo ko bhool jain.

Ager aap kay pas long wires hain tou inhain hair clip sey bandh kar rkahin.

Deewar par keel lagani ho tou clothespin sey pakar kar lagain is tarha nato aap kay hath zkhmi hogay aur saath hi isey seedha rakhnay mein bhi madad mile gi.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post