Chehray ki rangat ka nikhaar


Chehray ki rangat ka nikhaar

Aik aaloo lain aur isko kuchal lain ya pees lain. Phir is ko aik kapray per phaila ker chehray per lagain. 30 minutes k baad hata dain aur raat bher k liye chor dain. Subah uth ker chehray ko saaf paani say dho lain.



Gaajar aur shaljam ko paani mein ubaal ker kuchal lain aur 30 minutes kay liye iss amaizay ko chehray per laga lain. 30 minutes kay baad roi ko doodh mein bhigo ker chehra saf ker lain. Chehray ki rangat khil uthay gi.



Doodh mein zaitoon ka tail mila ker peenay say chehray ki rangat mein nikhaar paida hota hai.



Corn flour, doodh aur lemon juice ko mila ker paste bna lain. Is paste ko chehray per lagain aur chehray mein nikhaar paida karain.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post