Andha Mareez - Doosron Ki Khushi - Urdu Moral Story

Hospital Mein 2 Mareezon Ki Kahani - Sabaq Amoz Kahani - Moral Story
2 mareez hospital ke bistron par letey hue they
1 shakhs bethnay ke qabil tha, is ka bister kamray mein mojood khirki ke paas tha
jab ke dosra shakhs poora din –apne bistar par late kar guzarta tha
khirki wala shakhs baith kar –apne parosi ko sab batata jo usay khar ki se nazar aata tha
dosra shakhs woh sab suneney ka intzaar کیاکرتا tha
khirki se aik baagh nzraata tha, jis mein khobsorat neher bhi thi
is neher mein bachay khilona kashtiyan chillatay they, manzar bohat dilfaraib tha
khirki ke nazdeek wala barabar letey hue shakhs ko tamam tafseelaat batata aur leyta sun-hwa shakhs tasawwur ki duniya mein kho jata tha
aik din nurse kamray mein daakhil hui aur khirki walay shakhs ko murda paaya
dosray shakhs ne apna bistar khirki ke paas laganay ki farmaaish ki, nurse ne aisa hi kya aur kamray se chali gayi
is shakhs ne kohnyo ke bal baa-mushkil uthnay ki koshish ki taakay khirki se jhaank sakay
lekin usay sirf deewar nazar aayi
is shakhs ne nurse ko bulaya aur poocha ke yahan mojood mareez woh sab kaisay dekh laita tha jo woh mujhe bataya karta tha ?
nurse ne bataya woh shakhs nabina tha aur yeh deewar taq dekhnay ke qabil nahi tha
woh shayad dosray mareez mein zindagi ki lehar dorana chahta tha, usay khusi dena chahta tha
apni takleef bhool kar dosaron ko khushi dainay se barh kar doosri koi khusi naahi
khusi baantane se barhti hai
aap bhi duniya mein thori si khusi ki wajah ban kar is duniya ko mazeed behtar bnayein 💜

mazeed kahaniyan parhne ke liye yahan click karein
Previous Post Next Post