Foran charbi pigalney ka asaan hul



Agar aap apne pait ki charbi sey tang ah gae hai aur isse nijaat hasil karna chahtay hain tou kheeray ka istemaal baqaidagi se karein.

Kheeray mein majood paani aur fiber ki miqdaar humaray maiday ko tar-o-taaza karne kay saath saath wazan mein kaami mein ahem kirdaar ada karti hai.

Issi tarah nimbo bhi un sabziyoon mein sey hai jo humaray jild aur degar cheezon kay liye bohaut faidaymand hai.

Issi tarah adarak mein yeh khasosiyaat majood hai kay yeh jism sey badhi ko khatam karta hai aur humaray maiday ko behtaar bana'ne mein ahem kirdaar ada karta hai.

Aye! tou apko yeh jadoiye masroob bana'ne ka tareeka banatay hain. Isko apne raat ko sonay se qabal apko zaroor pina chahiye. Is se na sirf apka pait ki izaafi charbi khatam hogi aur jism chak-o-choband rahega balkay yeh apko halka phulka aur tar-o-taaza kar dega.



Ajzah:


  1. Kheera - aik adaad
  2. nimboo - aik adaad
  3. Aik chamcha kutra huwa adarak
  4. Aik chamach aloe vera (kawar gandal) ka rus
  5. Adha glass paani



Tarkeeb:

Tamaam azjaah ko achi tarah paste bana kar bareek kar lein. Raat ko sonay sey qabal iska istemaal karein. Apka jitna bhi bhara huwa pait hoga, qamar kay saath lag jaye ga!

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post