Toothpast kis gher mein nahi hota? Lekin 99% log is sey sirf daanton ki safaai ka kaam hi letay hain. Kisi nay bhi yeh nahi socha hoga keh ye daant saaf karne kay ilawa bhi kai aur kaam karsakta hai. Website par dekhain keh aap apnay toothpaste sey kiya kiya kaam ley saktay hain.
Purani Jewellery ko Naya Karay:
Jewellery agar istemaal na ki jaye tou kali ho jati hai aur un ki chamak maand par jati hai. Jewellery par toothpaste laga kar brush sey saaf karain aur phir paani sey dho lain ye bilkul new ho jaye gi.
Mobile ki Screen Saaf Karain:
Mobile ki screen par toothpaste laga kar kisi kapray sey saaf kar lain ye bilkul chamaknay lag jaye gi.
Purane Sikkay Chamkain:
Kisi bartan mein paani daal kar is mein thora sa toothpaste daal kar sikkon ko is mein daal dain, phir brush sey saaf kar kay pani sey dho lain ye chamak jain ge.
Toothpaste sey Piyaz ki Smell Khatam:
Piyaz katne kay baad haath mein toothpaste ki kuch miqdar laga kar pani sey dholain smell khatam ho jai gi.
FACEBOOK ID:
Http://www.Facebook.com/sirsufyian
Tags:
لائف ہیکس