Real Story Of This Picture In Urdu - تصویر کی دکھی کہانی

Saddest Pic Real Story In Urdu Hindi - Rula Dene Wala Waqia - Sad Pic

herat-angez-waqia-haqeeqat-story-kahani



Aap ne yeh tasweer to kaafi dafaa dekhi hogi lekin shaed aap is tasweer se juri ajeeb o ghareeb daastaan se waaqif nahi hon ge

March 1993 mein kevin carter ne yeh tasweer khenchi is tasweer ne inaam bhi jeeta tha. yeh tasweer Sudan mein li gayi jab wahan khoraak ka qeht tha aur aqwam mutahidda ke tehat wahan wahan khoraak ke marakaz qaim kiye gay they. photographer kevin carter ke mutabiq woh un khoraak ke marakaz ki photographi karne ja raha tha jab rastay mein is larke ko dekha jo ke unhi marakaz ki janib jaane ki koshish mein tha lekin bhook , kamzoree aur faqon ki wajah se is ka ye haal tha ke is se aik qadam uthana dobhr tha. aakhir yeh larka thak haar kar gir gaya aur zameen se sir laga diya. tasweer mein dekhen peechay aik gidh mojood hai jo ke is intzaar mein hai kab yeh larka maray kab mein isay khaon. bas isi manzar ne is tasweer ki tareekh ko aanson se bhar diya. kevin carter ne yeh tasweer New York times ko bechi aur New York times ke mutabiq jab unhon ne yeh tasweer shaya ki to aik din mein un se hazaron logon ne rabita kya aur is larke ka injaam janna chaha ke kyayh bach gaya tha? lekin New York times walay khud is ke injaam se be khabar they .

baat yahin khatam nahi hoti. photographer kevin carter jis ne yeh sara manzar camera mein qaid kya woh is tasweer ke baad aksar udaas rehne laga aur depration ka mareez ban gaya aakhir is mein mojood manzar ne is photographer ko apni jaan lainay par majaboor kar diya.
kevin ne 33 saal ki Umar mein khud kashi kar li. is ki khud kashi ka tareeqa bhi bohat ajeeb tha.
woh apne ghar ke paas walay os maidan mein gaya jahan woh bachpan mein kheltaa tha is ne apne car ke silencer mein aik tube fix ki aur is tube ko driving seat wali khirki se car ke andar le aaya tamam khirkiyan tamam droze lock kar diye aur gaari starts kar di. . gaari mein silencer se nikalta huwa dhuwan bhrna shuru huwa dhuwen mein carbon mono oxide hoti hai jo ke jaan lewa hoti hai isi carbon mono oxide ne kevin ki jaan le li .

kuch logon ke mutabiq is ki mout ki wajah is ke zameer ki khalish thi jo usay din raat sonay nahi deti thi. jab usay tasweer khenchnay ke baad inaam diya gaya to bohat si tanzeemon ne is pay shadeed aitrazaat kiye. log is se puchhte they ke is ne tasweer to bana li magar is ne is be bas bachay ko bachanay ke liye koi iqdaam kyun nahi uthaya. woh chahta to usay bacha bhi sakta tha magar is ne aisa kyun nah kya? is ke paas is sawal ka koi jawab nahi tha agar is ne kuch kya hota to yaqeenan apni zabaan kholta. usay is bachay se ziyada apne photographi ke payshay se ziyada pyar tha.
bas yahi khayalat usay raat bhar satatay rehtay aur woh chain ki neend nahi so sakta tha. aur isi tasweer ne usay duniya mein shohrat di aur yeh hi tasweer is ki khudkushi ki wajah bhi bani .
is ne jo tehreer choari is ka aik hissa yeh bhi tha .
" dard, bhook, aur faqon se martay bachon ki laashon ka mujh par saya hai. "
Mazeed Maloomat Ke Liye Yahan Click Karein
Previous Post Next Post